Aaina mujse meri pehli si surat mange
Mere apne meri hone ki nishani mange
Mein bhatakata hi raha dard ke viraane mein
Waqt likhta raha chere pe har pal ka hishab
Meri shorat meri diwangi ki nazar hui
Peegayi mai ki botal mere geeto ki kitaab
Aaj lauta hoon tu hasne ki ada bhool gaya
Yeh shahar bhoola mujhe mein bhi isse bhool gaya
Mera funn phir muje bazaar mein le aaya hai
Yeh wo jagah ke jahan mehr-o-vafaa bikate hain
Baap bikate hain aur lakht-e-jigar bikate hain
Kokh bikti hain, dil bikate hain, sar bikate hain
Is badalti hui duniya ka khuda koi nahin
Saste daamo pe yahan roz khuda bikate hain
Har kharidaar ko bazaar mein bikataa paaya
Hum kya paayenge kisi ne yahaan kya paaya
Mere ehsaas mere phool kahin aur chale
Bol pujaa meri bachi kahin aur chale aur chale
aap ki yaad, aati rahi raatbhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raatbhar
raatabhar dard ki, shamaa jaltee rahee
gam ki lau, thartharatee rahi raatbhar
bansuri ki sureeli suhanee sadaa
yaad ban ban ke, aati rahi raatbhar
yaad ke chaand, dil mein utarate rahe
chaandni jagmagaatee rahi raatbhar
koi diwaana galiyon mein firtaa rahaa
koi aawaz, aati rahi raatbhar
When Makdhoom died, Faiz wrote the following lines in his memory ("Makhdoom ki yaad mein" - Faiz Ahmed Faiz)
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chaandni dil dukhaati rahi raat bhar
gaah jalti hui, gaah bujhti hui
sham-e-gam jhilmilaati rahi raat bhar
koi khushboo badalti rahi pairahan
koi tasveer gaati rahi raat bhar
phir sabaa saaya-e-shaakh-e-gul ke talay
koi qissa sunaati rahi raat bhar
jo na aaya use koi zanjeer-e-dar
har sadaa par bulaati rahi raat bhar
ONE MORE
eik ummeed se dil behalta raha
vrey nice
ReplyDeleteOpen Port Err:
ReplyDelete*** the Port be occupied.
Waiting for USB Port...
>>Unstable comport
windows10pro 64bit
install virtual port driver bro....
DeleteNice post. Very informative. I will bookmark this page for future information. - samsung mobile service center in ambattur
ReplyDeletethanks
ReplyDelete